More Hindi Stories  Posts
naa jaane kyun mera pyaar…Rohan


Hai mere doston mera naam to aap jaantehi hain main hun ROHAN …..or meri mehbooba ka naam “AISHA” hai ye meri haqeekat ki daastan hai. Jo main aapko sunana chahta hun.. Badehi pyar bhare dilkasheen andaaz se. mene kuch alag typese story write kiya hai.. Jo aaplogonko padhte padhte apne aap samajhme aajayega. Ye story koi mamool nahi hai. Sister, brother, friends, isey achchese or dheere dheere padhna. koi naa rahe jo time par hi isey padhna take aapko ye pata chale ki kitna dar hai ye ROHAN me jo humare saat kabhi ladta tha or kabhi pyar karta tha….main jaanta aaap sablog yahi sochrahe honge ki abb aisa kya hai isme to aap bhi shayad aapki ankhome paani laayenge or shayad ROHAN I miss u ka sandesh denge ummmmmeeeeeeeeeed karta hun……..suno meri dastaaannnnn

Nadi kinare dhuan uthat,
Main jaoon kachhu hoye,
Jiske karan main jala,
Kahin vahi na jalti hoye,
Lakdi jali bhal koyla,
Koyla jala bhal raakh,
Main premi aisa jala,
Koyla bhaya na raakh.

PART 1 – September 19th, 2001.

Phir vahi nazar, vahi badi badi bhoori aankhen aur phir vahi mujhe dekh kar shokhi ke saath palkon ka jhapkana.

\”Oye sun na, bore ho rahi hoon yaar\”

Aur phir vahi ada ke saath ubaasi lene ka natak karte hue mere kandhe par uska sar ka tikana.

\”Class mein suna karo ke kya bol rahe hain, filhal mere notes copy karke kaam chala rahi ho, aage zindagi mein kya karogi?? \” Hamesha ki tarah mera shikayat karna.

\”Tum hoge na vahan bhi mera saath dene ko, my best friend\” Hamesha ki tarah muskurate hue uska vahi purana jawab.
Best friend. Is label se mujhe nafrat bhi thi aur ye haqeeat bhi thi ke is label ke bina jeena mera muhaal tha.

Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon sadma-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De.

Use shayad khabar bhi nahi ke mere dil mein kya hai. Ke kaise main use dekh dekh jeeta hoon aur kaise mera use dekh dekh hi dam nikalta hai. Uske liye toh main uska sabse achha dost hoon jo uske har achhe bure mein uske saath hota hai. Jab vo hasti hai uske saath hasta hai aur jab vo roti hai toh uske chehre se ashq ponchhne ko sabse pehla jiska haath hota hai. Aey kaash ke use khabar ho ke ye silsila mehez saath hasne aur saath rone se kahin aage nikal chuka hai.

Kaash use khabar ho ke vo hasti hai toh kis tarah mere dil ki dhadkan tez ho jaati hai aur vo ghamzada hoti toh kaise mera dil bethne lagta hai. Aey kaash ke use khabar ho ke kaise main baar baar uski nazar bacha kar uska deedar karta hoon, uske chehre ko apni nazar se chhuta hoon aur ye sochta hoon ke uske bina kabhi jeena pada toh kya karunga. Kaise guzarunga ye din aur kaise kaatunga apni raat.

Sochta hoon ke kaisi hogi zindagi jo yun hi kabhi vo bhi meri mohabbat ka iqraar kar le.

\”Yaar vo kal wala assignment banaya?\”
\”Haan\” Maine jawab diya

Usne usi masoomiyat ke saath apni aankhen gol gol ghumate hue meri taraf dekha aur maine bina kuchh kahe, bina kuhh sune uska matlab samajhte hue kaha ?Shaam ko ghar aakar de jaoonga. Kar lena copy?

\”Thank you so much. You are my best friend\” Vo khushi se kisi chhoti bachchi ki tarah khush hoti aage badhi aur mere gale mein baahen daal kar mujhse lipat gayi.

Best Friend.

Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.

Na jaane kyun.

PART 2 – April 21st, 2002

\”Yaar please saath chal na. Main ghar par kya keh kar jaoon ke 3 din ke liye kahan ja rahi hoon?\”

\”Apni doston ke saath, aur kahan\”

\”Mere dad kabhi nahi maanenge is baat ke liye ke akeli ladkiyan shehar se bahar ghoomne ko ja rahi hain. Tu keh de ke saath chal raha hai\”

Phir ek baar uske liye jhooth aur har baar ki tarah is baar bhi khushi se. Aur vo bhi shayad ye baat jaanti hai ke vo kuchh kahe aur main mana kar doon aisa shayad hi kabhi ho.

\”Haq hai mera tumhare uper\”

Aisa vo kehti hai aur aisa main samajhta hoon, manta hoon. Aur chahta hoon ke ye haq bana rahe, isi tarah, hamesha ki tarah, zindagi bhar. Aur koshish karta hoon ke use bata sakun ke main yun hi uske naaz uthana chahta hoon. Jahan vo kadam rakhti hai us zameen ko chommna chahta hoon. Ke uski kadam-bosi karna chahta hoon aur apna dil uske kadamon mein rakhte hue use ye ikhtiyaar dena chahta hoon ke vo chahe toh apna le, vo chahe toh thukra de.

Mujhe Chhod De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De.

\”Yaar tu na hota na, seriously bahut akeli hoti main\”

Par main use kaise samjhaoon ke meri kash-makash kya hai. Ke kaise main jab uske saath hota hoon toh mehfil mein bhi hota hoon aur tanhai bhi saath nahi chhodti. Ke kaise uske hone se duniya rangeen ho jaati hai aur lagta hai ke har taraf mehfil hai. Par is khyaal se ke vo meri mohabbat se bekhabar hai, kis qadar udaasi mere dil mein ghar kar leti hai. Kis tarah se bheed ke beech uska haath thaame bhi khud ko akela pata hoon main.

Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.

Na jaane kyun.

PART 3 – May 13th, 2003

wo mujhe pyaarse “sikander” kehke pukarthi or thi mene puncha ye naam kyun to kehne lagi tum meri dosti ki jeet ho

\”Do you really have to go? I mean you could a job here too\”

Vo poori koshish kar rahi thi ke apni aawaz mein jhalak rahe bhaaripan ko, apne aankhon mein jhalak rahi nami ko chhupa sake par kaamyab nahi ho pa rahi thi.

\”Its just for a few years you know and it will be a boost for my career to start my work life working abroad with a company like that. Down the line i can come back and get a good package to work here\” Maine jawab diya.

\”Or you might just like it there and not come back at all \”

Aur uske is jumle ne jaise hazaron baatein keh di, uska sabse bada darr numaya kar diya.

\” Hey !? Maine uska haath pakadte hue kaha ?We will always stay in touch and when i finally move back here, we will still be friends, Best friends\”

Usne muskurane ki koshish ki par saaf zahir tha ke vo sirf mera dil rakhne ke liye thi. Pata nahi main aisa kyun kar raha hoon, kyun is job ke bahane usse door jaane ki koshish kar raha hoon. Kya sach main apne career ke liye ye kadam utha raha hoon ya sirf isliye ja raha hoon ke usse kuchh din ke liye door ho sakun. Apne us har jazbaat se door ho sakun jo uske naam se shuru hokar uske naam par khatam ho jaate hain.

Kya main isliye door ja raha hoon ke mujhe ek achhi zindagi mil sake ya main ye koshish kar raha hoon ke apne zindagi ko ek alag nazariye se dekh sakun. Ek aisa nazariya jahan meri nazar sirf ek usi ki tasveer na ho. Main aaj tak usse apne dil ki baat nahi keh saka hoon. Kai baar koshish ki hai par har baar zubaan ladkhada jaati hai.

Ek ehsaas jo kabhi dil ko sukoon deta tha ab takleef dene laga hai. Main bahut arse se uske ishq mein deewana hoon aur aaj tak usse is baare mein ek alfaaz kehna toh door, kabhi isharon isharon mein bhi nahi jata saka.

Dil mein hazaron baatein hai, hazaron ehsaas hain jo ab andar hi andar se mujhe todne lage hain. Dam sa ghutne laga hai mera. Lagta hai main ek aisi machine hoon jise ek ek purza kharab ho chuka hai. Mere khyaal, meri soch kabhi usse door hoti hi nahi. Kabhi ek pal ke liye sukoon milta hi nahi.

Na toh keh pata hoon aur na chup raha ja raha hai. Shayad usse kuchh din door rahun toh kuchh sukoon mile.

PART 3 – Dec 13th, 2004

\”Kya hua, tum toh bade bahane bana rahe the ke meri shaadi mein nahi aa paoge, ab kya hua? \”

Mujhe dekh kar vo usi masoomiyat ke saath, kisi chhoti bachchi ki tarah ithlati hui aage badhi aur apne makeup se bekhabar, apne dulhan ke libaas se bekhabar, aas paas khade logon se bekhabar, aur aisi hi tamam cheezon se bekhabar hokar meri gale mein baahen daalti hui lipat gayi.

\”Mujhe pata tha tum zaroor aaoge, bhale lakh kaam ho tumhein. Main bulaoon, aawaz doon aur tum na aao, aisa toh kabhi ho hi nahi sakta\”

Aur aaj uski shaadi hai.

Woh Uthein Hain Leke khum-o-Subu,
Arrey O ?Shakeel? Kahan Hain Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De!

Aur kisi aur ne haath badha hi diya. Main kinare khada dekhta hi reh gaya, sochta hi reh gaya aur meri kashti ko nakhuda ban kar dariya mein koi aur le gaya. Mere jazbaat zubaan tak aa hi na sake aur vo kisi aur ka jazba ban gayi. Mera dil uske naam par dhadakta hi reh gaya aur kisi aur ne apna naam uske saath jod bhi liya. Meri aankhen uske ehsaas se nam hi reh gayi aur koi aur uski aankhon ka kajal ban gaya.

Usne phone par mujhe bataya tha ke vo shaadi kar rahi hai aur main bahane banane ki koshish karta raha ke kaise mere passport ki koi problem hai, kaise main filhal india nahi aa sakta, kaise mujhe hazaar kaam hain, kaise main filhal bahut busy hoon aur ek vo thi ke muskura kar sirf itna hi kaha ke vo jaanti hai ke main aaonga zaroor.

Aur main ek baar phir uske dar par aa khada hua.

Saalon se badi khwahish thi ke uske dulhan ke roop mein dekhun. Dekhun ke kaise laal rang uske gore rang par phabta hai. Dekhun ke shaadi ki vo chamak, vo raunak uske chehre par kaisi lagti hai. Dekhun ke jab vo ban than kar aaye toh kaise mehfil ki har ladki uske saamne mamooli...

...

Access our app on your mobile device for a better experience!



Related Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

70 Comments on “naa jaane kyun mera pyaar…Rohan”

  • Very nice & True story
    Kaise jee rhe ho yr itna dard dil me rakh ke. ..

  • Bhaut achi h aapki true feelings.

  • Nice story…
    Hii everyone… I’m Prince. I feel soo bore because I have no friends… If any girl or boy would like to be my friend??? Please… WhatsApp me on +919199007192. only for serious persons, I just hate time-passers.

  • are kaha chali sis

  • Dstn ji hehehehe sahi kaha ap ne mstr gusse wale
    Molvi sahab lag rhe h
    Hehehe mene mazak kya kii but molvii sahab ne mere ko itnaa sunaadiyaa

  • happy bday dp

  • harry ji ab bata do…okk ye wish h meri…I mean gift mang rai hu.chalo bolo kya bat h..

    riya thank uuuu..

    anshu itna kyu sad rehte ho..ab sad na raho n Meko gift do…e hehehehe

  • Hello dastan u r ryt jis se matalb hai use koi firk nahi padhha srry2yahan aay again galgi

  • And dipi muje to nhi malum tha ki aaj aap ka burthday hai wo to preet ki comeent ne bta diya sooo tnx.. Ka haqdaar dill se preet hi rehta hai and and and or 1 baat wo fir kabhi btaunga kisi ne mna kiya hai to ok dipi

  • Abe ye anshu itna pkau kiu hai yaar jab v dekho bas rone dhone ki bate

  • Hiii gf …many many happy retruns of the day…happy birday my lovely gf…miss u so much….muaahhhh

  • Oh sorry stander I mean attendance.. Meri english bhi na bekaar

  • Princees: lagta hai ye mr.gussa walene aap ka brabar ka stander.. Liya hahahaha don’t worry yaar ..
    Whatever he say hi was right but. Wrong way pe aaye mr. Gussewale

  • Its a very heart touching story

  • yaha no wishes fr me????

  • koi Nai ayega me v chalti hu…

  • are Re kya hua apko ….bolo bolo

  • koi to aao me akeli hu..dar lag raha h..

  • Hlo frnds

  • Sry, mai chala gaya tha

    ab jaraha hu
    bus itna kehna tha “but ap khud hii dekho naa joo true love krta hai kabhi uskaa love q nhi miltaa tell me”

    Phir se aap aise hi soche

    plz kufriya kaam mat karein zubaan se kuch bole to allah ko razi karne k liye bolne ki koshish kare na k narazgi k liye(khuda na kare aisa ho)

    Allah aap ko hidayat de
    bye

  • OK by Allah Hafiz

    Or or mstr apna name too btaaye

  • Prin… aap hai yaha ?

  • Mene ap k liye ek name soch liyaa jab tak pata nhi chltaa jab tak me apko us ne se bulaugi OK
    Ap kaa name h
    Mstr gusse wale
    Kesa laga
    Sorry apko buraa laga too wese ap kon h ap ka name boy h ya girl

  • Ji ?

  • My fav song

    Baaton ko teri ham bhulaa
    Naa sakhe
    Ho k Judaa ham
    Na judaa ho sake
    Dil me hai zinda har ghadi
    Tu kahii
    Ho k judaa ham
    Naa judaa ho asked
    Ajnabi silslaa mere
    Sth h bhidd me
    Tanhaii ka ehsas hai
    Khudaa jaane
    Khudaa jaane
    Baton ko teri ham bhulaa
    Naa sakhe ho k judaa ham naa judaa hoo sakhe

    I’m miss u gyzz koi nhi hai OK by

  • Mjhe buraa nhi laga ap hoo
    Arey koi h me bht bore ho rhi hun
    God kisi ko bhej de yaha

    Apka name kya h or ap kon h reply me plz???

  • OK mstr ap kon h?
    Sahi kaha ap ne OK ji but ap khud hii dekho naa joo true love krta hai kabhi uskaa love q nhi miltaa tell me

    Or haa mene glt kaha sorry Allah pak I’m really really very very sorry

  • Aur ha allah paak jo karte hai wo hamare liye bohat acha hota hai

    aisa kuch ho hi nhi sakta k kuch kharab ho

    to miss princ… jo b ho aap

    aise kabhi nhi kehna chahiye k “pata nahi q god” (naozbillah) bachna chahiye kufriya alfazao se mazallah mazallah allah pe tanqidein karne se

    bus apni think badal.kar dekhein : )

    Sry agar bura laga kuch to

  • Shayad ye story dosri site pe kisi aur ne b likhi thi bus kuch din pehle hi shayad tqribn puri ki puri same, cmnt me story likhe thee wo, per name alag tha “salman”

    khair

    sry kuch bura mat manna
    maine dekha tha isiliye kehdiya

  • Rohan ji mere ko maaf krnaa ji or or kya likhaa h apne apki story jitni tareef karu utnii hii kan h pdh
    Kr aisa feel ho rha tha jeese wo sab kuch me dekh rahi hun
    Mere saamne ho rha hai wo sab Allah pak apko hmesha happy rakhe
    Or ap apni life me aagye bdhee ap ka love agr ap k sath hotaa too
    Shyd wo b aisa boltii me pry karugi ap hmesha happy rahe

  • Rohan ji nhi Ji nhi wo too mazak me thii sorry I’m really very very very sorry apki story se koi shykt nhi ji apki story pdh kr mjhe bht dukh huaa sorry ap ko meri baat ka buraa laga I’m really really sorry

  • Rohan ji kya story h apki wow
    Kya likha hai apne….
    Bht dukh huaa apki
    Story pdh or…
    Pata nhi q God aisa krte kisi
    Sache pyar krnee waloo
    K swath….
    Mjhe roona agya
    Apki story pdh kr…..

    Sach kahuu too mere ko kuch smjh nhi aarhaa me kya kahuu apko
    But ap k love koo God jannt aata farmaye ameen

    Is se zyada mere ko kuch smjh hii nhi aarha kua bolu apki story
    Me itnaa dard thaa agr woo ap se love krti thi too us nee shadi q kii
    Syd is liye log khtee h ek baar apne dil kii baat ap uskoo bata dete

  • kisiko meri story par shikayat hai to beshaq mujhe commnets kaein………rohan

  • 2nd Garry jindaa Dada ji Indian bndr 0r 0r kya name rakhaa tha
    Haaa loojr hahahaha

Punjabi Graphics

Indian Festivals

Love Stories

Text Generators

Hindi Graphics

English Graphics

Religious

Seasons

Sports

Send Wishes (Punjabi)

Send Wishes (Hindi)

Send Wishes (English)