hi friends my name is sid.,mai ek lower middle class family se belong karta hu.mai na ek aisa larka hu jo kewal padhai padhai padhai… sochta hai.
Mai jab coaching me padhta tha to sabhi larke larkiyo se mazak karte,comment marte par mai to kabhi unke(larkiyo) ki taraf dekhta bhi nahi tha,karan sirf ek tha kuch karna tha life me…
Us samay jamana bhi thora piche tha sabke pas mobile nahi the(no fb),yar larkiyo ki baat kaya unke papa ke pas bhi nahi the wajeh tha ye thora rural type area tha to companies ne apni tower late se lagaya tha.yani agar larkiyo se milna,dekhna,baat karna ho to kewal 2 se 3 jagah hi the coaching,high school,road,related gali etc.
Dressing sense,racing bike,smartphone,lappi inki to baat hi nahi karna.agar koi baat karta to wo sabse knowledgeable samjha jata tha.
Ab apne personality ke bare me-mai thora sa to accha jarur dikhta tha,ghar pe raheta tha to khana kha kha kar ke thora healthy to tha hi,larkiyo se baat karne me sharmana (apni bahen tak se,not own),koi agar mazak kar diya to uske bare me sochna ki log kaya soch rahe honge yani apni chor dusro ke bare me sochna ki wo kaya sochte hai mare bare me.,
Is samay me larki patane ka ek hi khandani tarika tha badh chadh ke bolna aur unhe hamesha dekhte rahena,unke ghar ke pas chakar lagana,road pe unke piche piche chalna …
Mai to apne teachers ka favourate tha ,rahunga bhi kyo nahi sab dusri masti le raha tha aur mai padhai ki…
Ek din meri mummy ne mujh se kaha ki mai jab ek dukan me thi to kuch larkiya tumahare bare me baat kar rahi thi-“yar wo larka(sid) kafi padhaku hai kabhi hum log ki taraf bhi nahi dekhta hai,mujhe to wo class me sabse accha lagta hai kyo ki wo dusre ki tarah nahi hai aur uska feture bright hai,jarur kuch karega,…. bhi yahi kaheti hai” mummy ko ye bat sun ke kafi ajib laga aur wo ghar a ke mujhe batie ke aisa hua aur wok hub has rahi thi aur boli mera beta aisa hai.
Mai class ka monitor ban gaya,mare attitude ke karan mera kabhi kisi se jhagra nahi hua,mai to intelligent tha hi to larkiya bhi kabhi 2 mujh se math ki ques. Puch leti thi aur jo board pe banata thaw o to pacca 250 students ki copy me hota tha.
Mera din nikal raha tha board exam a rahe the,achanak ek nai larki mare class...
...
Access our app on your mobile device for a better experience!
naina thakur
Bo jrur milegi
Arjun
Koshis Karate Raho
Koshis Karne walo Ki kabhi Har Nahi Hoti
vishal
bhai pls meri bhi help karye plzzzzzzzzzzzz
Sidharth
why not yar mujhe batao kaya baat hai
arif
very good, pr tu to pura filmi ho rha h bhai
Sidharth
at first thanks a lot arif 4 ur compliment……
dude kaya karu us time situation hi aisi thi+++++
Azhar kazi
Fikar mat kar bhai uperwale ne chaha to wo tujhe jarur milegi
lekin koshish jari rakhna…
Sidharth
ya dude kosis marte dam tak jari rahegi nd thanksssss a lot dear….