More Hindi Stories  Posts
Palko Se Dua – Prince


Hii Everyone & Silent Readers, Mera nam Prince hain aur Mai is site ka Old Member hu. Mai lagbhag pichhle 5 salo se yha par hu. Kafi sari stories padhne ke bad mera bhi mann kiya ki koi story likhu par humesha sochkar hi rah jata tha kyoki meri koi love story abhi tak hai hi nhi, Phir mere mind me ek story idea aaya to main use yha par narrate kar raha hu. I hope aap logo ko pasand aaye? To ye Real Love Story nhi hai balki ise maine sochkar banaya hain. Ab time na waste karte hue story btata hu….

Pehle to Ravish Mujh par hansa tha jo maine usse kaha ki Riya mujhe achhi lagti hai. Kehne laga, uske aaye abhi 2 din hi huye hain aur tume achhi lagne lagi! Are ja koi aur machhli pakad, Ye to abhi nadan hai aur Umr me tumse chhoti dikhti hai. Vaise bhi ise yahan Jyaada din rukna nahi hai.
Riya, hamare hi apartment ke nichle floor me rahne wali Gupta aanti ki bhatiji thi. Garmi ki chhuti me aayi thi wah. Ek mahine ke liye kalkate se. Pr do din me hi wah humlogo se itni ghul_mil gai ki 1 mahine tak uske gair hone ka ehshas hi na hua. Shadgi to jaise uske rom-rom me bhari ho. Satrahvi (17th) basant paar kr chuki hogi shayed pr Bachpanna aaj bhi usme jhalakta tha. Chehre ka rang mano dudh-haldi ka lep laga kr abhi abhi hi dhoya gaya ho aur bhure aankh uske khubsurat hone ke suboot de rahe the. Par apni khubsurti se anjan thi shayed. Kabhi apne balon ko dusre ladkio ki terah sawarte nahi dekha tha use. Har mahaul me apne-aap ko dhal lene wali ek chulbul ladki thi wah.
Jab kabhi Ravish ke na rehne aa jaya karti thi wah mere room me aur mera pura samay uske tuti-futi hindi ke sath guzar jata. Ravish jo mera room partner tha. Use kya pta is dil ke nadani ka, jo kab, kahan aur kaise kis pr aa jaye. Kya ye jaroori hai ki jise hum chahen wah hum-umr ho, wah hr din paas ho aur hum ek dusre ko bar-bar i love you bolen. Main nahi manta. Nahi manta ki pyaar ko mukam shadi ke roop me de. Mere khyal se pyaar jindgi ka ek alag hi Rishta hai. jo ki gam bhi deta hai aur khushi bhi. Jisme na koi bada hota hai aur na koi chhota. Pyar ke liye sab ek saman hain aur pyaar sabke liye.
Pta hi na chala 2 hafte kaise bit gaye. In 2 hafto me main uske bahoot kareeb aa chuka tha. waise zuban se kai terah ki baate hoti rahi. pr muhabbat ki baaten hum dono ki aankhe hi batiya sake. Humme se kisi ki himmat nahi hui ek dusre se izhaar krne ki.
Ek din jab wah mere Palko se gire baal lekr mere Hatheliyo ke uper rakha aur aankhe band kr mujhe kuch mangne ko kaha....

...

Access our app on your mobile device for a better experience!



Related Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

One Comment on “Palko Se Dua – Prince”

Punjabi Graphics

Indian Festivals

Love Stories

Text Generators

Hindi Graphics

English Graphics

Religious

Seasons

Sports

Send Wishes (Punjabi)

Send Wishes (Hindi)

Send Wishes (English)