Posts Uploaded By Pakistani Love Story

Sub Categories

Me Jo hun wo nazar ni ati my name Maria me Lahore ki rhne wali hun hum 3 bhai or 2 sister Total 5 ha or Ami or papa ha hanji to ye bt suru hoti ha Mari 13 sal ki Umar se buhot se khuwab the Mary har ak aam larki ki tarha bus Fark itna tha k me aam larki Ni the me apne zindagi se itna kuch Ni chati the magar ye zindagi mujse buhot kuch chati the bachpan se hi dikh rha tha k beta khata tha or beti kamati thi, us hi family ki ak beti me b the hum me Matlab Mere khandan me larkiyan kamati hai or larke khaty ha ajeeb to lagta ha ye sun kr but ye hi Sach tha Zindagi se buhot gile hai muje par kabi kiye Ni q k Mari zindagi se muja kabi payar Ni hua es leya zakham barhe the malahm mili hi ni agr kabi mil b gi to lagi ni agr galti se lag hi gi to usne us se b ziyada takleef di jisy Mary sary zakham choty par Gaya us malahm k zakham k agy buhot happy the me magar the jab 12 sal ki the itne Umar Ni the jitne jaldi duniya dekh le kise ki nazaro se kud ko lutwane see acha ha Banda khud ko usky agy phank Dy 100 dafa iezat lut ja a utne takleef ni ho gi jitne takleef kise ki gandi nazaro se khud ko nochawane se hoti ha muja bivi banne ka bara shonk tha muja nend Ni ati the jab Tak me apni shadi ki bat Ni sochti the (8:30 am 📖ab nend aa rhi ha ab Kal lekhu gi) (morning.5:55 am) ji to ab agy chalty ha 12 sal ki Umar me muja bola Gaya k tum fild me aa jao par me Ni ana chati the q k Mary sapne alag the me shadi krna chati the 3 dafa mana kia mene fild me ane se magar bachpan se hi dekh rhi the k muja hamiyat Ni di jati the or Bari sister ko di jati the mind me ye bt behat gi k Jo kamaye ga uski hi izat ha gar me pr me bus 12 sal ki the gar walo ko laga me sister k sath agr du gi to kuch ban ja a ga magar Mari soch ko koi Ni badal paya bachpan se hi apni zid khud puri ki hai jab insan bikhar jata ha to usko kuch b acha bura Ni lagta aisy hi Mari zindagi sakun se Guzar rhi the magar mera larki hona muja saza Dy rha tha ak gunaha lag ne laga hai ab to jeena b bt lambi ha or time Thora ☹️rat dalni hi the dal hi gyi, mene gandagi me girna hi tha me gir hi gyi 😒 jo hum sochy wasa hi ho ye munkin Ni ha socha kuch hua kuch dikha kuch hua kuch😶 khamoshi b ak galti hoti ha jo humy Ni krni chiye jhuk na chiye magar bus Allah k Samne bolty ha maaa bap k bt Mani zarori ha maa bap k na farman na bano to phr theek kia tha mene b unki bt man kr🤐 kuch time k leya hum achy ban sakty ha or log humy APna b len gy magar agr bt na mano to bury ban jao or buro ko apnana un logo k bus me Ni Sachai ka sat Chand log daty ha achy logo ko to koi Ni chro ta buro ko sambal k dikao koi b bura Ni hota har bury insan k pichy ak buhot bari waja chupi hoti ha nach ne wali q nach ti ha q k usko nacha ne waly log hi hoty ha na log nach dikhy na wo nachy nachwane Wala Sharif or nach ne wali ko hazaro gandy nem dia Gaye ha 😶 khamoshi b ak galti hoti ha ye mene apni Zindagi se sika ha jahan me ni Jana chati the mara bura time Le hi gya Matlab me wahi chali gi Jahan Jana Ni chati the UAE as a club artist ☹️sune me acha lagta ho ga pr es fild me rhna Mary leya namunkin tha Mari dunia ye fild Ni the Aakhir mein bhi Phas Gayi us abaad jungle mein Jahan log to Rehte the magar darindo se bhi batar, meri zindagi itni Aasan Nahi Thi jitni lagti thi Me hargiz aisi Zindagi Mein Nahin Rehna chahti thi kuch samajh nahin aata tha kya karna hai kaise yahan se nikalna hai Khair Zindagi Ne bahut Sitam dhaYe Hai Mujh Par Kabhi Izzat Ke Naam Par chup Rahi To Kabhi besiti Ke Naam Par Mujhe Kisi Se Koi Gila Nahin kyu ke jino Ne Paida Kiya unhone Nahi Samjha to me gairon se kya ummid rakhti Khud Ko bachane ke liye bahut badi galti Kar Li Maine Ek shaqs Meri Zindagi Mein Aaya uska naam Ali uski Umra 30 saal or main tab 13 saal ki thi Shayad Gharwale Mujhse bahut kuch karwa Sakte the or me unky leye kar bhi sakti thi Magar unke Alfaz Na kabile bardasht The Meri Itni Umar nahi thi jitni soche thi ya nahin k ab Nahin Hai ab usse b ziyada hai Khair Baat Ko Aage barate hue Ali Meri Zindagi Mein Aaya bahut Khushiyan b De or bahut gum b, uska Meri Zindagi Mein Aana mehaj Ek bahana tha main bahut tang ho chuki thi Ghar Walon se unke torture se Unki Baaton Se phr Maine Faisla Kiya k Main Ab wapis UAE nahi Jaungi main Ye Ghar Walon se bhi Kaha Magar Woh Meri Baat Ko Nahi samjhe 2013 22 Roza Main Ghar Se Bhaag Gayi mere paas aur koi chara nahin tha Jab me Ali Se Dur bhagti thi Tu Ghar wale bolte the Tumse ziyada mature  hai samajhdar hai aur Tumse Pyar bhi karta hai usse Baat kiya karo wo he Sab isiliye bolte the q k unko paise jo deta Tha Woh Mere Ghar ke kharche afford Karta Tha mere paas aur koi chara nahin tha Maine Socha kyun nahi main isi ke paas Chali jao q k Ghar Walon Ki Nazron Mein Wo Mujhe Bahut Pyar Karta Tha Maine Socha Wo Mujhe Sambhal Lega zalim Duniya Se or q k wo bhi Yahi Chahta tha ki me feld Chor Du is gandagi Se bachne Ke Liye main Ali ke paas Chali gayi Khud Ko bachane ke liye uske paas jane ka bus ek hi fayda hua k ab me fild Main Nahin Hoon Magar Meri Zindagi use Dard Se so Guna ziyada Dard Mein Guzar rahi hai Wafa ki Umeed ki Wafa Na mil Paye Izzat ki umid Ki Izzat na mil Paye acchi Zindagi Ki Umeed ki acchi Zindagi nahi mil Paye Ek accha Hamsafar Chaha Ek accha Hamsafar na mil Paya Meri Zindagi Mein Kuch Bhi perfect nahi hai Mera Jeena Ek Bura Khwab Hai Jise tab tak dekhungi jab tak me Jee Rahi Hoon Main Apni Zindagi se kuch nahin Chaha Tha Shivaya 3 cheezon ke 1 Izzat ki zindagi 2 Mera Apna Ghar 3 accha life partner Jo Mujhe samajhta sambhalta Meri care karta or mujse Bepanah Mohabbat Karta Khair ye cheeze To Main Apni Zindagi Se Mangi Thi Jo wo Ni da saki Mujhe aj Tak abhi bhi mari Kahani Adhuri hi ha use 13 saal ki Umr Se Lekar Aaj Tak Jis Dard Se Main guzar rhi hun Woh Shayad na batane se mehsus Hoga Na likhne se q k ye dard mara eski takleef Bhi Mujhe hi Bus mehsoos Hogi Aur alfazon Ko Dil Mein Hi Dabe Rehne Dete Hain Ek Adhuri Zindagi Ke Saath mene apni kuch Baatein Yahan Par isiliye likh di Jab Main es takleef bari Zindagi Se Azad ho jao Tu Koi Mujhe mara Dekh Ke Roye na balke Shukar Ada kre ke apni aziyat Bhari Zindagi Se Azad Ho Gayi Maria Mujhe Us din Ka besabri se Intezar ha main Ye bhi Janti Hoon Mere Marne Se Kisi Ko Fark nahi Pary ga Magar Khud Ko Ek Dilasa Dena Zindagi Mein Mujhe buhot zaroori sa ho gaya ha Mere Marne Ke Baad kuch log bahut royenge it’s a big joke about me🙂😶🙂

Submitted By:- Maria

...
...

Punjabi Graphics

Indian Festivals

Love Stories

Text Generators

Hindi Graphics

English Graphics

Religious

Seasons

Sports

Send Wishes (Punjabi)

Send Wishes (Hindi)

Send Wishes (English)